Announcement

Collapse
No announcement yet.

Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya

    Har ishq ka matlab ghum nahin hota,
    Duriyo say pyaar kam nahin hota,
    Waqt bewaqt ho jati hain aankhain nam,
    Kyon k yaadon ka koi mousam nahin hota.


    Na khawabon main dekha, na nazaron main dekha,
    Hazaron main hum nay ek tum hi ko dekha
    Ghum denay walay tu har pal hai yahan,
    Har pal khushi denay walon main, ek aap ko hi dekha.


    Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya,
    Tanhai k sehar main apna ghar bana liya,
    Suna hai log pujtay hain patthar ko,
    Isi liye dil apna patthar bana liya.


    Haqiqat mohabbat ki judaai hoti hai,
    Kabhi kabhi pyar main bewafai hoti hai,
    Humari taraf haath badhaa kar toh dekh,
    Dosti main kitni sachhai hoti hai


    Is qadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye,
    Kyun ho khafa yeh bayan toh kijiye..
    Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata,
    Yuhi yaad na kar k saza toh na dijiye..!!!!

    ----------
    - Chahat

    Get into these Most annoying web page
    http://www.JokesDuniya.com
Working...
X