Announcement

Collapse
No announcement yet.

Main pehlay hi akela hoon.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Main pehlay hi akela hoon.

    Wafa ruswa nahi karna
    Suno! Aisa nahi karna
    Main pehlay hi akela hon
    Mujhe tanha nahi karna
    Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna
    Judai bhi jo aa jaye to dil chota nahi karna
    Bohat masrof ho jana mujhy socha nahi karna
    Bharosa bhi zarori hai magar sab ka nahi karna
    Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna
    Meri takmeel tum se hai mujhy aadha nahi karna
    Jo likha hai wohi ho ga kabhi shikwa nahi karna.

    ----------
    - Chahat

    Women are impossible to please
    http://www.JokesDuniya.com

  • #2
    Manzile bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.

    Manzile bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
    Ek main akela tha, Kafila bi uska tha.
    Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
    Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha.
    Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
    Log to uske they,Kya KHUDA bhi uska tha
    With Love From
    Punjabi Munda

    Comment

    Working...
    X