Announcement

Collapse
No announcement yet.

A Man

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • A Man

    Yeh dharma sabha ka mandap kyun
    jeevan par bandha jata hai,
    Aur jati pati ka dhong racha kar
    Auadambar kyun machta hai,

    Yeh dharm likhe hain jisne
    vo to bach na sake, vo bhi hain mare,
    Phir kalbayha in dhrmon se
    Kab tak yun aadmi dara kare?

    Yeh dharm bade hatyare hain
    Ismen na manuj ki chinta hai,
    Sapne hain na koi jeevan ke
    par gahari neend ka matam hai,

    Jo yug hamne dekha hi nahin
    kanoon hain ismen us yug ke,
    yah ek bhayanak mujreem hai
    karta hai khoon bachpan ke,

    Darmon pe hum kyun aaz karen
    yeh to dangon ke karan hain,
    Yeh khud aaram se jeete hain
    Insanon ko marwate hain,

    Jab ek din yeh footegi dhara
    Nahin puchegi kya dharm tera,
    Simtegi sab ko ekahi jagah
    BHAGWAN tera, ALLAH bhi tera.

  • #2
    Good post

    Nice thoughts

    Carry on and enjoy here

    Have a nice time
    Founder & Creative Mind of Megrisoft
    www.indiabook.com
    Business
    Please Do Not Spam Our Forum

    Comment

    Working...
    X